gham-e-hijr ke gae din guzar hua aaKHir apna visal hi
pa ye kya ghazab hai pae-KHuda tujhe aaj tak hai malal hi
hai anokha us ka jamal hi na wo badr hai na hilal hi
nahin banti koi misal hi balaghul-ula-be-kamalehi
meri aah ne ye kiya asar ki wo aan kar hue jalwa-gar
shab-e-tar-e-hijr hui sahar kashafudduja-be-jamalehi
hai usi ki shan mein la-fata hai usi ki shan mein hal-ata
hai usi ki shan mein innama-hasonat-jamio-KHisalehi
main sawal-e-wasl hun kar raha wo ye kahta hai ki na manunga
ye ajab tarah ka hai maKHmasa ki na hijr hai na visal hi
mujhe kis tarah na KHayal ho ki na 'anjum' un ko malal ho
kisi baat ka jo sawal ho nahin utni apni majal hi
Ghazal
Gham-e-hijr ke gae din guzar hua aaKHir apna visal hi
Mirza Asman Jah Anjum