اردو हिंदी
Gham-e-hayat mein koi kami nahin aai | Shaahi Shayari
gham-e-hayat mein koi kami nahin aai

Ghazal

Gham-e-hayat mein koi kami nahin aai

Ahmad Rahi

;

gham-e-hayat mein koi kami nahin aai
nazar-fareb thi teri jamal-arai

wo dastan jo teri dilkashi ne chheDi thi
hazar bar meri sadgi ne dohrai

fasane aam sahi meri chashm-e-hairan ke
tamasha bante rahe hain yahan tamashai

teri wafa teri majburiyan baja lekin
ye sozish-e-gham-e-hijran ye sard tanhai

kisi ke husn-e-tamanna ka pas hai warna
mujhe KHayal-e-jahan hai na KHauf-e-ruswai

main sochta hun zamane ka haal kya hoga
agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhai

kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin
bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai