اردو हिंदी
Gham-e-hayat ki lazzat badalti rahti hai | Shaahi Shayari
gham-e-hayat ki lazzat badalti rahti hai

Ghazal

Gham-e-hayat ki lazzat badalti rahti hai

Shakeb Jalali

;

gham-e-hayat ki lazzat badalti rahti hai
ba-qadr-e-fikr shikayat badalti rahti hai

harim-e-raaz umid-e-karam ki zauq-e-numud
KHulus-e-dost ki qimat badalti rahti hai

kabhi ghurur kabhi be-ruKHi kabhi nafrat
shabih-e-josh-e-mohabbat badalti rahti hai

nahin ki tera karam mujh ko nagawar nahin
ye gham hai wajh-e-masarrat badalti rahti hai

agar fareb hasin ho to phir fareb nahin
KHata muaf haqiqat badalti rahti hai