gham-e-hayat ka jhagDa miTa raha hai koi
chale bhi aao ki duniya se ja raha hai koi
kaho ajal se zara do ghaDi Thahar jae
suna hai aane ka wada nibha raha hai koi
wo aaj lipTe hain kis nazuki se lashe se
ki jaise ruThe huon ko mana raha hai koi
kahin palaT ke na aa jae sans nabzon mein
hasin hathon se mayyat saja raha hai koi
Ghazal
Gham-e-hayat ka jhagDa miTa raha hai koi
Sardar Anjum