gham-e-hayat gham-e-dil nishat-e-jaan guzra
tumhaare sath har ek lamha shadman guzra
taDap ke dard se fariyaad ko jo lab khole
sitam shiar zamane pe ye garan guzra
badal de ruKH jo meri zindagi ke dhaaron ka
wo hadisa mere dil par abhi kahan guzra
jawab-e-tur-o-tajalli kahenge ahl-e-nazar
jo dil ki rah se wo husn-e-mehrban guzra
basa ke dil mein tere gham tere sitam ai dost
jahan jahan se bhi guzra main naghma-KHwan guzra
Ghazal
Gham-e-hayat gham-e-dil nishat-e-jaan guzra
Abdul Mateen Niyaz