اردو हिंदी
Gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin | Shaahi Shayari
gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin

Ghazal

Gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin

Altaf Hussain Hali

;

gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin
shadi-e-wasl bhi aashiq ko saza-war nahin

KHub-rui ke liye zishti-e-KHu bhi hai zarur
sach to ye hai ki koi tujh sa tarah-dar nahin

qaul dene mein tammul na qasam se inkar
hum ko sachcha nazar aata koi iqrar nahin

kal KHarabaat mein ek goshe se aati thi sada
dil mein sab kuchh hai magar ruKHsat-e-guftar nahin

haq hua kis se ada us ki wafadari ka
jis ke nazdik jafa bais-e-azar nahin

dekhte hain ki pahunchti hai wahan kaun si rah
kaba o dair se kuchh hum ko sarokar nahin

honge qail wo abhi matla-e-sani sun kar
jo tajalli mein ye kahte hain ki takrar nahin