gham-e-firaq bhi aaKHir farogh pa hi gaya
ki fikr Dhal ke faqiri mein ras aa hi gaya
ye rah wo hai ki miTna bhi paD sake hai yahan
tu shukr kar ki tera sirf aasra hi gaya
mili hai tark-e-talluq se rabt-e-gham ko baqa
ki ab to milne bichhaDne ka muddaa hi gaya
na ghar raha na sukun na ye zindagi hi rahi
gaya hai sab na magar dard ya-ilahi gaya
ye dard-e-ishq hai 'alam' kisi ke bas mein kahan
raha raha na raha na gaya to na hi gaya
Ghazal
Gham-e-firaq bhi aaKHir farogh pa hi gaya
Mukesh Alam