gham-e-duniya gham-e-hasti gham-e-ulfat gham-e-dil
kitne unwan mile hain mere afsane ko
phir se aa jaegi dekho tan-e-be-jaan mein jaan
aap aawaz to dije zara diwane ko
be-KHudi mein bhi tera nam liye jate hain
rog ye kaisa laga hai tere mastane ko
tujh se bas itni talab hai tere diwane ki
apne jalwon se saja de mere gham-KHane ko
shoala-e-dard-e-mohabbat koi bhaDkae to
hum to tayyar hain is aag mein jal jaane ko
gar mera zauq-e-jabin-sai salamat hai 'fana'
kaba ek rose bana dunga sanam-KHane ko
Ghazal
Gham-e-duniya gham-e-hasti gham-e-ulfat gham-e-dil
Fana bulandshahri