gham-e-dost ko aasaish-e-duniya se gharaz kya
bimar-e-mohabbat ko masiha se gharaz kya
sar-ta-ba-qadam banda-e-taslim-o-raza hun
mujh aashiq-e-sadiq ko tamanna se gharaz kya
kucha hai tera aur hai din-raat ka chakkar
wahshi ko tere gulshan-o-sahra se gharaz kya
wada na karo jalwa-e-didar dikhao
imroz ke mushtaq ko farda se gharaz kya
tum bagh mein jate ho to gul khilte hain kya kya
phulon ko tumhaare ruKH-e-zeba se gharaz kya
aql itni kahan hai ki jo anjam ko soche
duniya ke talabgar ko uqba se gharaz kya
ahbab hain mai-KHana hai pahlu mein hai mashuq
ab hazrat-e-'shankar' ko tamanna se gharaz kya
Ghazal
Gham-e-dost ko aasaish-e-duniya se gharaz kya
Shankar Lal Shankar