gham-e-dil ruKH se ayan ho ye zaruri to nahin
ishq ruswa-e-jahan ho ye zaruri to nahin
lab pe har-waqt fughan ho ye zaruri to nahin
ham-nawa dil ki zaban ho ye zaruri to nahin
jaan-e-tanha pe guzar jaen hazaron sadme
aankh se ashk rawan ho ye zaruri to nahin
mil hi jaegi kahin DhunDhne wale ko bahaar
har gulistan mein KHizan ho ye zaruri to nahin
hum jise apni zaban se bhi na kahne paen
wo mohabbat ka bayan ho ye zaruri to nahin
un ki aankhon mein chhalak aae hain aansu jis se
wo mere dil ka dhuan ho ye zaruri to nahin
zabt bhi hota hai andaz-e-junun mein shamil
aarzu shola-ba-jaan ho ye zaruri to nahin
aarzuon ki bhi ek bhiD hai shahr-e-dil mein
hasraton ka hi nishan ho ye zaruri to nahin
soch kar wadi-e-ulfat mein qadam rakh 'sahir'
sirf dil hi ka ziyan ho ye zaruri to nahin
Ghazal
Gham-e-dil ruKH se ayan ho ye zaruri to nahin
Sahir Hoshiyarpuri