gham-e-dil ki zaban ahl-e-tashaddud kam samajhte hain
na dil ko dil samajhte hain na gham ko gham samajhte hain
wo kahte hain ki hansna hai dil-e-insan ki kamzori
nawa-e-zindagi ko zist ka matam samajhte hain
junun-e-kusht-o-KHun ko nam dete hain shujaat ka
amawas ki shab-e-tarik ko punam samajhte hain
rawadari ko hum samjhe hue hain dard ka darman
mohabbat ko dil-e-majruh ka marham samajhte hain
'mahawir' aur 'gautam' aur 'gandhi' jis ke rahraw the
tajjub hai ki hum us rah ko pur-KHam samajhte hain
banaya hai ahinsa ko usul-e-zindagi hum ne
sukun-e-zindagi ka raaz 'talib' hum samajhte hain
Ghazal
Gham-e-dil ki zaban ahl-e-tashaddud kam samajhte hain
Talib Chakwali