gham-e-dauran ne bhi sikhe gham-e-jaanan ke chalan
wahi sochi hui chaalen wahi be-saKHta-pan
wahi iqrar mein inkar ke lakhon pahlu
wahi honTon pe tabassum wahi abru pe shikan
kis ko dekha hai ki pindar-e-nazar ke ba-wasf
ek lamhe ke liye ruk gai dil ki dhaDkan
kaun si fasl mein is bar mile hain tujh se
ki na parwa-e-gareban hai na fikr-e-daman
ab to chubhti hai hawa barf ke maidanon ki
un dinon jism ke ehsas se jalta tha badan
aisi suni to kabhi sham-e-ghariban bhi na thi
dil bujhe jate hain ai tirgi-e-subh-e-watan
Ghazal
Gham-e-dauran ne bhi sikhe gham-e-jaanan ke chalan
Mustafa Zaidi