gham-e-dauran bhi nahin hai gham-e-jaanan bhi nahin
saKHt mushkil mein hai ab dil ki gham-e-jaan bhi nahin
mujh se naraaz hain sab jaan-o-jahan-o-jaanan
main ki dil se bhi juda shai hun pareshan bhi nahin
dil ne kuchh aur kahan aql ne kuchh aur kahi
sun ke donon ki na mani ki main nadan bhi nahin
had-e-imkan-e-tasawwur mein sahi mera suragh
lekin ai dil mujhe ab DhunDhna aasan bhi nahin
ek wo din ki teri did pe qurban thi nigah
ek ye din ki tere wasl ka arman bhi nahin
jaane kis KHitta-e-aflak se utra 'arif'
jo ek insan ki surat bhi hai insan bhi nahin
Ghazal
Gham-e-dauran bhi nahin hai gham-e-jaanan bhi nahin
Manzoor Arif