gham-e-behad mein kis ko zabt ka maqdur hota hai
chhalak jata hai paimana agar bharpur hota hai
kabhi aisa bhi hota hai ki dil ranjur hota hai
magar insan hansne ke liye majbur hota hai
faza-e-zindagi ki zulmaton ke marsiya-KHwano
andheron hi ke dam se imtiyaz-e-nur hota hai
nahin ye marhala ai dost har bismil ki qismat mein
bahut mushkil se koi zaKHm-e-dil nasur hota hai
ye sai-e-zabt-e-gham aankhon mein aansu rokne wale
safinon mein kahin tufan bhi mastur hota hai
Ghazal
Gham-e-behad mein kis ko zabt ka maqdur hota hai
Amir Usmani