اردو हिंदी
Gham-e-ahista-rau yan rafta rafta | Shaahi Shayari
gham-e-ahista-rau yan rafta rafta

Ghazal

Gham-e-ahista-rau yan rafta rafta

Siraj Aurangabadi

;

gham-e-ahista-rau yan rafta rafta
kiya hai mujh kun hairan rafta rafta

wo sahir ne ada ka sehr kar kar
liya mujh sin dil-o-jaan rafta rafta

jigar ushshaq ka dagh-e-jafa sun
hua sehn-e-gulistan rafta rafta

kamand-e-zulf dikhla kar kiya hai
mere dil kun pareshan rafta rafta

zi-bas us yusuf-e-misri ke hain lab
hua dil misl-e-kanan rafta rafta

'siraj' ab tu na ho ghamgin ki rahman
karega mushkil aasan rafta rafta