gham-e-afaq mein aarif agar karwaT badalta hai
syahi se qalam ki nur ka minar Dhalta hai
basirat ho to har zarra tajalli-zar-e-sina hai
nigah tarik ho to aaina zulmat ugalta hai
huzur-e-husn hoti hai kise dekhen pazirai
sada ibrat-asar dastur-e-haq din-raat chalta hai
KHuda-agah ka har har nafas dars-e-tayaqqun hai
haya-begana taKHribi hamesha chaal chalta hai
masaf-e-razm se hargiz na ja aaina-KHanon mein
KHuda ka sher-dil aafat ke qalib mein Dhalta hai
nigarish maqsad-e-taKHliq-e-barg-e-gul pe hai lekin
kise hai tab-e-nazzara charagh-e-tur jalta hai
KHulus-e-dil se banta hai hisar-e-nar bhi jannat
ba-fazl-e-haq zamin-e-shor se zamzam ubalta hai
mazaq-e-sarfaroshi KHanqahon se hua ruKHsat
magar talwar ki mehrab mein sar-baz palta hai
zamana mast-e-ishrat hai takalluf ke jahannam mein
haram ka pasban but-KHana-e-azar mein palta hai
luTa dete hain almas-o-guhar sahib-nazar hans kar
sitare Dubte hain to koi suraj nikalta hai
baDa dana hai diwana kahin Thokar nahin khata
andheri raat hai lekin diya to dil ka jalta hai
sadaqat se lahak jate hain tan-sazon ke but-KHane
ghazal ki aag se faulad ka paikar pighalta hai
tasarruf mein shabistan-e-jahan hai ishq-o-masti ke
zamana so chuka hai faqr ka jadu to chalta hai
bahut dushwar hai chalna siraat-e-din-e-fitrat par
KHuda ki justuju mein har nafas shoala ugalta hai
tumhaari azmat-e-dastar to taslim hai naseh
kaleja rah-e-haq mein sher mardon ka dahalta hai
ye KHatra hai na le Dube parastish tan ki murshid ko
charagh islam ka isar-o-qurbani se jalta hai
dil-e-nazuk pe harf aae na un 'bebak' maston ke
muqaddar jin ki Thokar se zamane ka badalta hai
Ghazal
Gham-e-afaq mein aarif agar karwaT badalta hai
Bebak Bhojpuri