اردو हिंदी
Gham duniya bahut iza-rasan hai | Shaahi Shayari
gham duniya bahut iza-rasan hai

Ghazal

Gham duniya bahut iza-rasan hai

Khumar Barabankavi

;

gham duniya bahut iza-rasan hai
kahan hai ai gham-e-jaanan kahan hai

ek aansu kah gaya sab haal dil ka
na samjha tha ye zalim be-zaban hai

KHuda mahfuz rakhte aafaton se
kai din se tabiat shadman hai

wo kanTa hai jo chubh kar TuT jae
mohabbat ki bas itni dastan hai

ye mana zindagi kaamil hai lekin
agar aa jae jina jawedan hai

salam aaKHir hai ahl-e-anjuman ko
KHumar ab KHatm apni dastan hai