gham chheDta hai saz-e-rag-e-jaan kabhi kabhi
hoti hai kaenat ghazal-KHwan kabhi kabhi
hum ne diye hain ishq ko tewar nae nae
un se bhi ho gae hain gurezan kabhi kabhi
ai daulat-e-sukun ke talab-gar dekhna
shabnam se jal gaya hai gulistan kabhi kabhi
hum be-kason ki bazm mein aaega aur kaun
aa baiThti hai gardish-e-dauran kabhi kabhi
kuchh aur baDh gai hai andheron ki zindagi
yun bhi hua hai jashn-e-charaghan kabhi kabhi
Ghazal
Gham chheDta hai saz-e-rag-e-jaan kabhi kabhi
Qabil Ajmeri