اردو हिंदी
Gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se | Shaahi Shayari
gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se

Ghazal

Gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se

Faheem Jogapuri

;

gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se
KHana-barbaadon ke aabaad hain ghar sadiyon se

dar-ba-dar un ka bhaTakna to nai baat nahin
chahne wale to hain KHak-basar sadiyon se

koi mushkil na masafat hai na raste ki thakan
asl zanjir hai saman-e-safar sadiyon se

tujh se milne ke siwa sari duaen gulshan
ek yahi shaKH hai be-barg-o-samar sadiyon se

kya musafir hain ye raste mein bhaTakne wale
jaise be-samt ghaTaon ka safar sadiyon se

kis ne dekhi hai zamane mein wafa ki KHushbu
ye kahani hai kitabon mein magar sadiyon se

har zamane mein KHushamad ne sadarat ki hai
kaamran hota raha hai ye hunar sadiyon se

ma-siwa husn kahin ishq ne dekha na 'fahim'
ek hi samt ko jamid hai nazar sadiyon se