galiyon mein aazar bahut hain ghar mein ji ghabraata hai
hangame se sannaTe tak apna haal tamasha hai
bojhal aankhen kab tak aaKHir nind ke war bachaengi
phir wahi sab kuchh dekhna hoga subh se jo kuchh dekha hai
dhup musafir chhanw musafir aae koi koi jae
ghar mein baiTha soch raha hun aangan hai ya rasta hai
aadhi umr ke pas-manzar mein shana-ba-shana gam-ba-gam
tu hai ki teri parchhain hai main hun ki mera saya hai
hum sahil ki sard hawa mein KHwabon se uljhe hain 'farogh'
aur hamare nam ka dariya sahra sahra bahta hai
Ghazal
Galiyon mein aazar bahut hain ghar mein ji ghabraata hai
Rais Farogh