اردو हिंदी
Galiyan udas khiDkiyan chup dar khule hue | Shaahi Shayari
galiyan udas khiDkiyan chup dar khule hue

Ghazal

Galiyan udas khiDkiyan chup dar khule hue

Nazeer Qaisar

;

galiyan udas khiDkiyan chup dar khule hue
ukta gaya hun main to ye sab dekhte hue

hathon pe likh ke chumta rahta hun us ka nam
muddat guzar gai hai jise KHat likhe hue

KHushbu-o-rang aab-o-hawa saz-o-KHamushi
kya qafile hain dasht-e-KHala mein ruke hue

kuchh puchhti hain peDon ki sarsabz Tahniyan
kuchh kah rahe hain rah mein patte gire hue

hathon mein le ke chalta hun aankhon ki mishalen
har samt hain fazaon mein chehre bane hue

muhtaj-e-abr-o-baad hue ahl-e-KHak-dan
har chand is zamin mein the dariya chhupe hue

ai mawara-e-fikr ab aawaz de ki hum
KHud se bichhaD gae hain tujhe DhunDte hue