galiyan jhakin saDken chhanin dil ki wahshat kam na hui
aankh se kitna lawa ubla tan ki hiddat kam na hui
Dhab se pyar kiya hai hum ne us ke nam pe chup na hue
shahr ke izzat-daron mein kuchh apni izzat kam na hui
man dhan sab qurban kiya ab sar ka sauda baqi hai
hum to bike the aune-paune pyar ki qimat kam na hui
jin ne ujaDi dil ki kheti un ki zaminen KHatm huin
hum to rais the shahr-e-wafa ke apni riyasat kam na hui
ab bhi itna tar-o-taza hai jaise awwal din ka ho
wah re apni kawish-e-naKHun zaKHm ki lazzat kam na hui
baqar' ko tum KHub samajh lo ranjish hai ye dikhawe ki
yun tum se be-zar phire hai dil se chahat kam na hui
Ghazal
Galiyan jhakin saDken chhanin dil ki wahshat kam na hui
Sajjad Baqar Rizvi