اردو हिंदी
Gali se teri jo ki ai jaan nikla | Shaahi Shayari
gali se teri jo ki ai jaan nikla

Ghazal

Gali se teri jo ki ai jaan nikla

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

;

gali se teri jo ki ai jaan nikla
gareban se dast-o-gareban nikla

teri aan pe ghash hun har aan zalim
to ek aan lekin na yan aan nikla

yahi mujh ko rah rah ke aata hai arman
ki tujh se na kuchh mera arman nikla

meri aah-e-atish-fishan dekhti hai
liye ghar se har aan quran nikla

meri jaan shart-e-rifaqat nahin ye
nikal jaan tu bhi ki paikan nikla

kiya main ne mujra to jhunjhla ke bola
kahan ka mera jaan pahchan nikla

ajab be-baha hai mera ashk yaro
ye kam-baKHt laDka to tufan nikla

mujhe shaiKH ulfat se mane hai 'ehsan'
wali jis ko samjha tha shaitan nikla