اردو हिंदी
Gali se teri jo Tuk ho ke aadmi nikle | Shaahi Shayari
gali se teri jo Tuk ho ke aadmi nikle

Ghazal

Gali se teri jo Tuk ho ke aadmi nikle

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

gali se teri jo Tuk ho ke aadmi nikle
to us ke saya se jhaT ban ke ek pari nikle

KHayal mein tere chehre ki mar gaya ho jo shaKHs
to us ki KHak se sone ki aarsi nikle

baid shan se aashiq ke aah bharni thi
wali wo kya kare jab us ki jaan hi nikle

kisi ke hosh ko kah do agar chala chahe
to apne ghar se kamar bandh kar abhi nikle

nishan-e-ah liye chhanw chhanw taron ke
chalegi fauj-e-sarishk aaj chandni nikle

kaji tabiat-e-kaj-fahm se ho tab munfak
kisi dawa se dum-e-sag ke gar kaji nikle

hazar shukr ki 'insha' kisi ki mahfil mein
KHafa se aae the par ho hansi-KHushi nikle