gali mein baKHt ke un ka bhi kuchh qissa nikal aaya
hui thi sulh kis mushkil se phir jhagDa nikal aaya
main apne shor ke sadqe ki dekha aaj to us ko
bhara ghusse mein ghar se shoKH be-parwa nikal aaya
nadamat jo hui den galiyan afsana-goyon ko
wo sunte the kahani zikr kuchh mera nikal aaya
kisi ka ghar nahin ye to gali hai soch o zalim
ghar ukta kis liye hai bhul kar is ja nikal aaya
meri taqdir badli zoaf se aawaz kya badli
wo apne dil mein dushman ki sada samjha nikal aaya
jo sach puchho to sadqe mein tumhaare aks aariz ke
kanwal phule dilon ke rang ghunchon ka nikal aaya
'nasim' un ko jo apna jazb-e-KHatir is taraf laya
gale mil mil ke roe hausla dil ka nikal aaya
Ghazal
Gali mein baKHt ke un ka bhi kuchh qissa nikal aaya
Naseem Dehlvi