اردو हिंदी
Gali ka manzar badal raha tha | Shaahi Shayari
gali ka manzar badal raha tha

Ghazal

Gali ka manzar badal raha tha

Hammad Niyazi

;

gali ka manzar badal raha tha
qadim suraj nikal raha tha

sitare hairan ho rahe the
charagh miTTi mein jal raha tha

dikhai dene lagi thi KHushbu
main phul aankhon pe mal raha tha

ghaDe mein tasbih karta pani
wazu ki KHatir uchhal raha tha

shafiq poron ka lams pa kar
badan sahife mein Dhal raha tha

duaen khiDki se jhankti thin
main apne ghar se nikal raha tha

zaif ungli ko tham kar main
baDi sahulat se chal raha tha

ajib hasrat se dekhta hun
main jin makanon mein kal raha tha