gali gali meri wahshat liye phire hai mujhe
ki sang-o-KHisht ki lazzat liye phire hai mujhe
na koi manzil-e-maqsud hai na rah-e-talab
bhaTakte rahne ki aadat liye phire hai mujhe
na mal-o-zar ki tamanna na zindagi ki hawas
na jaane kaun si quwwat liye phire hai mujhe
haram se dair talak dair se haram ki taraf
na jaane kis ki aqidat liye phire hai mujhe
ye mufsidon ka jahan ye tazad ki duniya
bas ek harf-e-mohabbat liye phire hai mujhe
mujhe kiya meri fikr-e-rasa ne aawara
ki dar-ba-dar meri shohrat liye phire hai mujhe
jo bas chale na uThun tere aastane se
ye sar-phira jo hai 'rifat' liye phire hai mujhe

Ghazal
Gali gali meri wahshat liye phire hai mujhe
Rifat Sarosh