gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain
yan apna hi hosh nahin hai kis ko chah ke arman hain
fursat ho to aa ke dekho hum aawara-gardon ko
kitne ghubar hain is daman mein kitne dil mein tufan hain
sab hi un ka adab karte hain chahne wala koi nahin
Toka ek gustaKH ko lekin ab wo KHud hi pasheman hain
sar jo jhuka us shoKH ke aage aur kahin phir jhuk na saka
maslak-e-mehr-o-wafa mein waiz hum kafir bhi musalman hain
kuchh ko mudawa karna hoga is aashufta-mizaji ka
ai gham-e-jaanan! apne parae sab hi tujh se nalan hain
wadi o sahra chhoD ke jab se tere shahr mein aan base
jangal jangal DhunDte phirte hum ko sare ghazalan hain
ahl-e-zamana ko bas meri ek ruswai yaad rahi
warna meri wafa ke jaane kitne aur bhi unwan hain
hum ne apni or se KHuban kab tum ko bad-nam kiya
tum ne jo jo dagh diye hain wo chhati pe numayan hain
KHair se ab ke ahl-e-sitam ko diwanon se kaam paDa
dekhen kitni zanjiren hain dekhen kitne zindan hain
jo pamal-e-KHizan hain ek din KHak-e-chaman se uTThenge
un ka hashr na jaane kya ho jo maqtul-e-bahaaran hain
Dar na raha mauj-e-bala ka ruKH bhi phira duniya ki hawa ka
rona kya hai dukh sagar ka us ke hum par ehsan hain
ek ek bund jali hai lahu ki tab ja kar ye raat kaTi
tere liye ai subh-e-tarab hum kab se chaak-gareban hain
'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan
'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain
Ghazal
Gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain
Khalilur Rahman Azmi