gali gali aabaad thi jin se kahan gae wo log
dilli ab ke aisi ujDi ghar ghar phaila sog
sara sara din galiyon mein phirte hain bekar
raaton uTh uTh kar rote hain is nagri ke log
sahme sahme se baiThe hain ragi aur fankar
bhor bhae ab in galiyon mein kaun sunae jog
jab tak hum masruf rahe ye duniya thi sunsan
din Dhalte hi dhyan mein aae kaise kaise log
'nasir' hum ko raat mila tha tanha aur udas
wahi purani baaten us ki wahi purana rog
Ghazal
Gali gali aabaad thi jin se kahan gae wo log
Nasir Kazmi