gale se dil ke rahi yun hai zulf-e-yar lipaT
ki jun sapere ki gardan mein jae mar lipaT
maze uThate qamar-band ki tarah se agar
kamar se yar ki jate hum ek bar lipaT
hamare pas wo aaya to khol kar aaghosh
ye chaha jawen hum us se ba-inkisar lipaT
wahin wo dur sarak kar itab se bola
hamare sath na ho kar tu be-qarar lipaT
hamein jo chahen to lapTen 'nazir' ab warna
tu chahe lipTe so mumkin nahin hazar lipaT
Ghazal
Gale se dil ke rahi yun hai zulf-e-yar lipaT
Nazeer Akbarabadi