gale mila na kabhi chand baKHt aisa tha
hara-bhara badan apna daraKHt aisa tha
sitare siskiyan bharte the os roti thi
fasana-e-jigar-e-laKHt-laKHt aisa tha
zara na mom hua pyar ki hararat se
chaTaKH ke TuT gaya dil ka saKHt aisa tha
ye aur baat ki wo lab the phul se nazuk
koi na sah sake lahja karaKHt aisa tha
kahan ki sair na ki tosan-e-taKHayyul par
hamein to ye bhi suleman ke taKHt aisa tha
idhar se guzra tha mulk-e-suKHan ka shahzada
koi na jaan saka saz-o-raKHt aisa tha
Ghazal
Gale mila na kabhi chand baKHt aisa tha
Shakeb Jalali