gale lipTe hain wo bijli ke Dar se
ilahi ye ghaTa do din to barse
na puchho hasrat-e-tishna-dahani
wo mustasqi hun jo pani ko tarse
laga ke ThaT hai har suna muradi
tamanna-e-dili nikle kidhar se
tah-o-baala agar karna hai manzur
karo nichi nigahen baam par se
milega KHak but-KHane mein ja kar
barahman aur kuchh pujenge ghar se
jo so jate hain ghaDyali shab-e-wasl
mere KHud kan bajte hain gajar se
meri gardan ye tegh apni laga dekh
nahin farq ek sar-e-mu hath bhar se
milenge manzil-e-awwal nakiren
dhaDakta dil hai qazzaqon ke Dar se
wo daman-dar hun turbat par meri 'shad'
sahab-e-be-kasi phaT phaT ke barse
Ghazal
Gale lipTe hain wo bijli ke Dar se
Shad Lakhnavi