gale lagaen balaen len tum ko pyar karen
jo baat mano to minnat hazar bar karen
ye hath kaise hain be-kar kuchh to car karen
bahaar aai gareban tar tar karen
kahan se laen ab us ko jo ham-kanar karen
tasalli kya teri o jaan-e-be-qarar karen
wo rabt tum se baDhaen wo tum ko yar karen
hazar tarah ke jo jabr iKHtiyar karen
girae sail-e-anasir ki chaar diwari
KHarab KHana-e-tan chashm-e-ashk-bar karen
tumhaare dar se na mayus jaen hajat-mand
qubul howe jo tauba gunahgar karen
kafan bhi ho gaya maila dhare dhare ai maut
tamam umr hui kab tak intizar karen
ba-rang-e-ghuncha zaban hai dahan mein zer-e-zaban
tumhaare qaul ka kya KHak e'tibar karen
gada tere dar-e-daulat ke hain ye mustaghni
jo saltanat bhi mile to na iKHtiyar karen
ghurur-e-husn se hargiz sunega ek na gul
chaman mein nale agar bulbulen hazar karen
sunae rakhta hun sab ko meri wasiyyat hai
ki ta isi pe amal mere gham-gusar karen
charagh-e-zist jab us nang-e-dudman ka ho gul
aziz shama na raushan sar-e-mazar karen
tere siwa hai karim aur rahim kis ki zat
najat kis se talab hum gunahgar karen
bajae-surma lagaen ghubar-e-kucha-e-yar
yahi ilaj tera chashm-e-ashk-bar karen
sitam-shiar jafa-pesha be-murawwat hai
sarahiye jigar un ke jo tujh ko pyar karen
baDha ke likkhen na shaer hadis-e-zulf-e-rasa
hua hai tul munasib hai iKHtisar karen
dar-e-karim se aati hai muttasil ye sada
wo kyun na pae jise hum umid-war karen
ye but uThaen jo quran bhi kabe mein ai 'rind'
KHuda se hum to hon munkir jo e'tibar karen
Ghazal
Gale lagaen balaen len tumko pyar karen
Rind Lakhnavi