gale lagae raha sab ka dhyan tha itna
gai ruton ka shajar mehrban tha itna
na jaane kitne samundar utar gae honge
kisi ke panw ka gahra nishan tha itna
KHalaon mein had-e-fasil ko khinchne walo
zamin se dur kabhi aasman tha itna
khaDa hai samne ban kar KHulus ka paikar
jo shaKHs dekhne mein bad-zaban tha itna
badan se ruh nikalne ke baad lauT aai
wo mar ke bhi na mera saKHt-jaan tha itna
wo apne qad ko baDha kar bhi chhu nahin pae
jhuka hua ye tera saeban tha itna
koi charagh-e-sahar tak na chal saka ai 'shad'
gali ke moD pe KHuni makan tha itna
Ghazal
Gale lagae raha sab ka dhyan tha itna
Shad Nohi