gale lagae mujhe mera raazdan ho jae
kisi tarah ye shajar mujh pe mehrban ho jae
sitare jhaD ke baalon se ab ye kahta hun
koi zamin pe rah kar na aasman ho jae
isi liye to udasi se guftugu nahin ki
kahin wo baat na baaton ke darmiyan ho jae
ye zaKHm aise nahin hain ki jo dikhaen tumhein
ye ranj aisa nahin hai ki jo bayan ho jae
bula raha hai koi aasman ki khiDki se
so aaj KHak-nashin tera imtihan ho jae
Ghazal
Gale lagae mujhe mera raazdan ho jae
Abid Malik