gale laga ke jo sunte the dil ki aahon ko 
taras raha hun unhin ki hasin banhon ko 
qadam qadam pe wo aankhen bichha bichha dena 
zarur yaad to hoga tumhaari rahon ko 
duhai hai teri ai rahzan duhai hai 
ki aaj luT liya rahbar ne rahon ko 
lage na phir kabhi daman mein dagh un ke 'shamim' 
sharab-e-nab se dhoya hai jin gunahon ko
        Ghazal
Gale laga ke jo sunte the dil ki aahon ko
Shamim Jaipuri

