gale hum kya milen us aadmi se
jo rakhta hi nahin ulfat kisi se
shikayat aap ko hum se baja hai
magar majbur hain hum dil-lagi se
hamein bhi ghar ki zimmedariyan hain
unhen fursat bhi kab hai naukri se
usi dam ho gai hairan duniya
khule jab raaz us ki Diary se
uThin hain ungliyan chaaron taraf se
main guzra jab kabhi teri gali se
zamana le raha hai aaj ibarat
tumhaari aur hamari dosti se
kahan tak yaad rakkhenge wo 'arif'
koi wada kiya tha kal kisi se
Ghazal
Gale hum kya milen us aadmi se
Syed Arif Ali u0027Arifu0027