ghalat ki hijr mein hasil mujhe qarar nahin
asir-e-yas hun paband-e-intizar nahin
hai un ke ahd-e-wafa se munasibat dil ko
use qayam nahin hai ise qarar nahin
yahan to zabt-e-junun par na kar mujhe majbur
faza-e-dasht hai ai aql bazm-e-yar nahin
qafas mein Dalega kis kis ko aaKHir ai sayyaad
asir-e-dam-e-wafa sau nahin hazar nahin
jahan mein bulbul-e-bagh-e-KHizan-nasib hun main
meri nawaon mein rangini-e-bahaar nahin
Ghazal
Ghalat ki hijr mein hasil mujhe qarar nahin
Tilok Chand Mahroom