ghalat hai dil pe qabza kya karegi be-KHudi meri
ye jins-e-mushtarak hai jo kabhi un ki kabhi meri
hijab uThte chale jate hain aur main baDhta jata hun
kahan tak mujh ko le jati hai dekhun be-KHudi meri
tawahhum tha mujhe naqsh-e-dui kis tarah miTta hai
naqab-e-ruKH ulaT kar is ne surat khinch di meri
idhar bhi uD ke aa KHakistar-e-dil muntazir main hun
laga lun tujh ko aankhon se tu hi hai zindagi meri
'aziz' ek din mujhe ye raazdari KHatm kar degi
kisi ne baat idhar ki aur rangat uD gai meri
Ghazal
Ghalat hai dil pe qabza kya karegi be-KHudi meri
Aziz Lakhnavi