gal ko sharminda kar ai shoKH gulistan mein aa
lab sin ghunche ka jigar KHun karo muskyan mein aa
wahi ek jalwa-numa jag mein hai duja koi nahin
dekh wajib kun sada majma-e-imkan mein aa
zindagi mujh dil-e-murda ki tauhin hai mat ja
dil se gar KHush nahin ai shoKH meri jaan mein aa
gul dil-e-ghuncha naman tang ho rang-o-bu sin
jab kare yaad tere lab ke tain dhyan mein aa
gar tu mushtaq hai dilbar safar-e-dariya ka
aa ke kar mauj mere dida-e-giryan mein aa
mat mila kar tu raqiban sin sabhi paji hain
dekh kar qadr aapas ka ai sanam shan mein aa
yun mera dil tere kuche ka bala-gardan hai
jyun kabutar uDe hai chhatri ke gardan mein aa
gar karo qatl mere dil kun taghaful sin jaan
phir ke dawa na karun hashr ke maidan mein aa
dil-e-'yakru' hai tera pae bandhiya kakul ka
yaad rakh us kun sada mat kabhu nisyan mein aa
Ghazal
Gal ko sharminda kar ai shoKH gulistan mein aa
Abdul Wahab yakro