ghairon mein hina wo mal raha hai
nairang-e-jahan badal raha hai
khaTka hai ye nashtar-e-mizhgan ka
rag rag se jo dam nikal raha hai
wasf-e-lab-e-surKH likh raha hun
yaqut qalam ugal raha hai
aabaadi-e-dil hai dagh-e-sozan
is ghar mein charagh jal raha hai
hai dil ki taDap se chashm-e-pur-nam
pare ka kuan ubal raha hai
dil gham se na kis tarah ho ThanDa
pankha dam-e-sard jhal raha hai
betab hai dil ye gham ke hathon
gende ki tarah uchhal raha hai
shabnam se josh-e-mai-kashi hai
har saghar-e-gul khangal raha hai
dil aatish-e-gham se tao kha kar
range ki tarah pighal raha hai
hai chashm-e-siyah mein kudak-e-ashk
bhanwre mein ye tifl pal raha hai
manka hai Dhala lawen phiri hain
aa jald ki dam nikal raha hai
be-barg-o-samar hain ek hamin 'shad'
har ek nihaal phal raha hai
Ghazal
Ghairon mein hina wo mal raha hai
Shad Lakhnavi