ghairon ko ata aur jafa mere liye hai
KHush hun ki mohabbat ki saza mere liye hai
KHush ho ke abhi taisha-e-farhad uTha le
ai ishq ye qudrat ki ata mere liye hai
tum jo bhi karo malik-o-muKHtar ho sahab
pabandi-e-paiman-e-wafa mere liye hai
khul paega kab uqda-e-raaz-e-dil-e-bulbul
rahne do use kaam mera mere liye hai
jaenge kahan chhoD ke ye zist ke saman
ye bagh ye jannat ki hawa mere liye hai
kuchh rabt nahin ghair ka un se gham-e-dauran
ye barq ye tufan-e-bala mere liye hai
kyun 'nur' jhukate kahin apna sar-e-aqdas
dar tera jo sajde ko bana mere liye hai
Ghazal
Ghairon ko ata aur jafa mere liye hai
Noor Mohammad Noor