ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta
main aalam-e-gham apna aalam se nahin kahta
paDh leti hain kaifiyyat kuchh taDpi hui nazren
dukh apne main har chashm-e-pur-nam se nahin kahta
rahgir hun main aisa har gham se guzarta hai
dawat pe jo rindan-e-KHurram se nahin kahta
mausam hama-gardish hai pasmanda-e-gardish hai
lab-tishna koi ye shai kyun jam se nahin kahta
kasb-e-mutharrik se pa-basta nasab tughre
ye kya hai koi ahal-e-KHatam se nahin kahta
aa dagh-e-mohabbat ke sanche mein tujhe Dhaalun
KHatam se main kahta hun dirham se nahin kahta
kuchh baat thi kahne ki kuchh bhul gaya ab main
fitrat se nahin kahta aadam se nahin kahta
kahte to nahin bawar na kahiye to kafir-tar
kahne ki qasam mujh ko main dam se nahin kahta
kahlane mein KHud un ka kuchh takmila naras hai
ulTe unhin shikwe hain kyun hum se nahin kahta
han meri ye uljhan to har dil mein khaTakti hai
kuchh muD ke koi zulf-e-barham se nahin kahta
kyun ho na junun kam-go jab hota hai ye zirak
dohrai hui baaten mahram se nahin kahta
kahne se hua gahra kuchh aur gham-e-pinhan
main sae se kahta hun hamdam se nahin kahta
jis lamhe se dekha hai ek sher sarapa ko
danista koi misra is dam se nahin kahta
dete hain wo mahfil mein yun dad 'latifi' ko
ashaar ye kya aksar mubham se nahin kahta
Ghazal
Ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta
Meem Hasan Lateefi