اردو हिंदी
Ghairat-e-mahr rashk-e-mah ho tum | Shaahi Shayari
ghairat-e-mahr rashk-e-mah ho tum

Ghazal

Ghairat-e-mahr rashk-e-mah ho tum

Haidar Ali Aatish

;

ghairat-e-mahr rashk-e-mah ho tum
KHubsurat ho baadshah ho tum

jis ne dekha tumhein wo mar hi gaya
husn se tegh-e-be-panah ho tum

kyun-kar aankhen na hum ko dikhlao
kaise KHush-chashm KHush-nigah ho tum

husn mein aap ke hai shan-e-KHuda
ishq-bazon ke sajda-gah ho tum

har libas aap ko hai zebinda
jama-zebon ke baadshah ho tum

fauq hai sare KHush-jamalon par
wo sitare jo hain to mah ho tum

hum se parda wahi hijab ka hai
kucha-gardon se ru-barah ho tum

kyun mohabbat baDhai thi tum se
hum gunahgar be-gunah ho tum

jo ki haqq-e-wafa baja lae
shahid allah hai gawah ho tum

hai tumhaara KHayal pesh-e-nazar
jis taraf jaen sadd-e-rah ho tum

donon bande usi ke hain 'atish'
KHwah hum us mein howen KHwah ho tum