ghairat-e-ishq salamat thi ana zinda thi
wo bhi din the ki rah-o-rasm-e-wafa zinda thi
qais ko dosh na do rakhiyo na farhad ko nam
inhi logon se mohabbat ki ada zinda thi
shahr-e-bimar ke har kucha o baam o dar par
hum bhi marte the ki jab KHalq-e-KHuda zinda thi
bujh gain shamen to dam toD gae jhonke bhi
jis tarah zahr-e-raqabat se hawa zinda thi
yaad-e-ayyam ki sahra-e-mohabbat mein 'faraaz'
jaras-e-qafila-e-dil ki sada zinda thi
Ghazal
Ghairat-e-ishq salamat thi ana zinda thi
Ahmad Faraz