اردو हिंदी
Ghair ulfat ka raaz kya jaane | Shaahi Shayari
ghair ulfat ka raaz kya jaane

Ghazal

Ghair ulfat ka raaz kya jaane

Jaleel Manikpuri

;

ghair ulfat ka raaz kya jaane
lutf-e-naz-o-niyaz kya jaane

nim-jaanon pe kya guzarti hai
nargis-e-nim-baz kya jaane

mere tul-e-shab-e-judai ko
teri zulf-e-daraaz kya jaane

pak-bazan-e-mai-kada ka maqam
jo na ho pak-baz kya jaane

dil hai us parde mein koi warna
shama soz o gudaz kya jaane

hum jo masti mein girte paDte hain
zahid aisi namaz kya jaane

rah-e-ulfat na jis ne tai ki ho
wo nasheb-o-faraaz kya jaane

jis ke dil mein na soz ho wo 'jalil'
kaif-e-awaz-e-saz kya jaane