ghair shayan-e-rasm-o-rah nahin
kab wo aashiq hai jo tabah nahin
ai falak daur-husn mein us ke
tujh ko kuchh fikr-e-mehr-o-mah nahin
rabt-e-dushman se bhi wo bad-bar hai
ab kisi tarah se nibah nahin
kam nigahi ko un ki dekhte hain
un pe bhi ab hamein nigah nahin
parda kab tak rahega ai zalim
aKHtar-e-muddai siyah nahin
zulm ki qadr ke liye hai rahm
dad kuchh bahr-e-dad-KHwah nahin
haif qazzaqi-e-zamana haif
rasm-o-rah bahr-e-rasm-o-rah nahin
hai gada shah balki shahanshah
satwat-e-qahr-e-baadshah nahin
ulfat aur tum se hae hae na ho
lab-e-dushman pe aah aah nahin
pasti-e-talea bahr-e-KHubi-e-fan
kya wo yusuf jo gharq-e-chah nahin
arsa-e-nisti-o-hasti se
bach ke chalne ki koi rah nahin
ai 'qalaq' kya hua buDhape mein
ishq kuchh sair-e-subah-gah nahin
Ghazal
Ghair shayan-e-rasm-o-rah nahin
Ghulam Maula Qalaq