اردو हिंदी
Ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat | Shaahi Shayari
ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat

Ghazal

Ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat

Asif-ud-Daula

;

ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat
tha nasibon mein hamare ye sanam ya qismat

yar tu yar nahin baKHt hain so ulTe hain
kab talak hum ye sahen dard-o-alam ya qismat

kucha-gardi se use shauq hai lekin gahe
is taraf ko nahin rakhta wo qadam ya qismat

kucha-e-yar mein thoDi si jagah de ai baKHt
mangta tujh se nahin mulk-e-ajam ya qismat

jaan-o-dil mein se nahin ek bhi ab nek-nasib
donon kam-baKHt hue aa ke baham ya qismat

'asif' ab aur lage karne taraqqi din raat
shamat-e-baKHt hui meri to kam ya qismat