اردو हिंदी
Ghair-mumkin tha ye ek kaam magar humne kiya | Shaahi Shayari
ghair-mumkin tha ye ek kaam magar humne kiya

Ghazal

Ghair-mumkin tha ye ek kaam magar humne kiya

Waqar Vasiqi

;

ghair-mumkin tha ye ek kaam magar hum ne kiya
tere nazzare ko paband-e-nazar hum ne kiya

aage chal kar ye KHuda jaane kahan rah jaen
ghair bhi chal paDe jab azm-e-safar hum ne kiya

in KHayalat hi par TuT paDi hai duniya
jin KHayalat ko kal zehn-badar hum ne kiya

din KHatarnak jazira sa nazar aane laga
apni hi zat ka kal shab jo safar hum ne kiya

yun taDap uTTha ki aai ho qayamat jaise
us ki dahliz pe KHam aaj jo sar hum ne kiya

tu hai hamrah to kanTe bhi maza dene lage
yun to kahne ko kai bar safar hum ne kiya

kar gae bhul ke jo 'sarmad'-o-'mansur'-o-'waqar'
wo tamasha na sar-e-rah-guzar hum ne kiya