اردو हिंदी
Ghair-mumkin hai ki miT jae sanam ki surat | Shaahi Shayari
ghair-mumkin hai ki miT jae sanam ki surat

Ghazal

Ghair-mumkin hai ki miT jae sanam ki surat

Wahid Premi

;

ghair-mumkin hai ki miT jae sanam ki surat
dil ka ye naqsh nahin naqsh-e-qadam ki surat

raat bimar pe bhaari hai kahin tar-e-nafas
TuT jae na tere qaul-o-qasam ki surat

mai-kasho KHub piyo itna magar hosh rahe
jam chhalke na kabhi dida-e-nam ki surat

hum sa bad-baKHt zamane mein koi kya hoga
hum ko KHushiyan bhi milin dard-o-alam ki surat

kaun hai jis se hamein pyar ke do bol milen
aaj ke log hain patthar ke sanam ki surat

fikr-o-ehsas ki aanchon se pighal kar 'wahid'
misl-e-shamshir hui apne qalam ki surat